Tumhari tarah shabd toh nahi hain mere pass
Bas ek dil hai, joh kabhi-kabhi bol uthta hai
Tumhari tarah tootey huye sapne bhi nahi hai
Bas kuch yaadein hain, jo kabhi-kabhi ro deti hain
Par maine kab kahaa ki main shayar hoon?
Yahaan par toh sunnewale bhi taaliyaan nahi bajate
Bas char deewaarien hain, jinme mere shabd joongte hain
Tumhari tarah dard bhari kahaani bhi nahee mere paas
Bas kuch khwaab hain, jinhe theek se piroya bhi nahee
Par maine kab kaha ki main shaayar hoon?
Dil ko syahi banane waalon mein se main nahee
Bas khoon ki kuch boondon se yaadein seench rakhi hain
Zindagi ka zeher sirf tumhare hi liye kadva ho jata hoga
Mere toh shabd bhi zamzam aur bhaavnaayein bhi
keh toh raha hoon tum se, sab se, kab se,
Ke maine kab kahaa ki main shayar hoon?
Tagged: poetry
this is beautiful …